Meray uthtay samay us nay yeh poocha, phir kab aao gay tum?
is tarap say mujh ko uska poochna acha laga
hum jantay thay la hasil hay aik honay ka sochna
uska yun nazarain jhuka kar sochna acha laga
may nay to aakhir dhoond he lee apnee shaeeree key wajah
apnay he dard may mujh ko nazam kehna acha laga
har shaam meree aankhain uska rasta dekhteen hain
raat bhar uska yun meree aankhoon say behna acha laga
hum jantay hain waqay-aa kuch aur hay magar phir bhee
amir ko yun bay khudee may gum rehna acha laga
ciao


