
Ummed-e-bahar
May 22, 2007Meray khawaboon ka qila to kab ka toot chukka hay
Par aik khirkee ab bhee aksar khul khul jatee hay
Jis say madh-dham madh-dham he sahee
Chandnee jhanknay lagtee hay
Aur dil kay weeran goshay may
Halkee c aik khawhish he sahee – karwat laynay lagtee hay
Jo reh reh k tarpaatee hay
Dil ko kuch kuch hota hay aur aankh nam ho jatee hay
Khawabon key is khirkee ko, sach may zinda rakhna hay
Bund na honay dayna hay
Rait k apnay is aangan ko
Pholoon say sajana aur
Khawaboon key is khirkee ko
Haathon may sajana, chupana
K meethee c yaad key khushboo
Aur anhonee aik khawahish, ab bhee is may rehtee hay
Jo shayad puree honee hay?
ciao
khwaboon ki aisi khirki ka kia faida jiskay khulnay pay bhi aankh num ho jati hai aur jo sakoon dainay kay bajaiy tarpaati rehti hai, phir us khirki ko zinda rakhna aur us khuwahish kay poora honay ki umeed karnay ka faida?
behtareeeen !!!!